اردو हिंदी
Hadse phail gae saya-e-mizhgan ki tarah | Shaahi Shayari
hadse phail gae saya-e-mizhgan ki tarah

Ghazal

Hadse phail gae saya-e-mizhgan ki tarah

Qateel Shifai

;

hadse phail gae saya-e-mizhgan ki tarah
gham-e-dauran bhi mila hai gham-e-jaanan ki tarah

lakh paiwand umidon ne laga rakkhe hain
dil ki surat nazar aati hai gareban ki tarah

koi aflak-nashin hai to pukare mujh ko
hasraten KHak-basar hain meri tufan ki tarah

aur honge wo mayassar hai jinhen lutf-e-bahaar
hum to gulshan mein bhi rahte hain bayaban ki tarah

jo bhi gul hai yahan firdaus bana baiTha hai
kaun khilta hai yahan ghuncha-e-isyan ki tarah

ye bhi eajaz kahin baad-e-muKHalif ka na ho
dil uDa jata hai aurang-e-sulaiman ki tarah

KHauf-e-mahshar se na ghabrao tum ai baada-kasho
dar-e-tauba bhi khula hai dar-e-zindan ki tarah

hum kiya karte hain ashkon se tawazoa kya kya
jab KHayalon mein wo aa jate hain mehman ki tarah

na koi saz na sangit na pazeb na git
uf ye mahaul ki hai shahr-e-KHamoshan ki tarah

hum tere misr mein aae hain zuleKHa-e-shikam
bik na jaen kahin hum yusuf-e-kanan ki tarah