hadsa kaun sa hua pahle 
raat aai ki din Dhala pahle 
ab main pani talash karta hun 
bhuk thi mera masala pahle 
KHwab the meri dastaras mein do 
main ne dekha tha dusra pahle 
ab to wo bhi nazar nahin aata 
dikh raha tha jo rasta pahle 
ab to ye bhi qadim lagta hai 
kis qadar shahr tha naya pahle 
is se pahle ki TuTti ummid 
TuT jaana tha hausla pahle 
phul ke zaKHm baad mein pochhen 
hath kanTon se chhil gaya pahle
        Ghazal
Hadsa kaun sa hua pahle
Ain Irfan

