hadisa aisa bhi zer-e-asman hona hi tha
barg-e-gul ko KHak shoale ko dhuan hona hi tha
talKH jitni ho haqiqat ko ayan hona hi tha
zindagi ko sat pardon mein nihan hona hi tha
jo na sunna tha wo afsana bayan hona hi tha
yani apni koshishon ko raegan hona hi tha
reza reza TuT kar bikhre dar-o-diwar-e-dil
lamha lamha KHana-e-jaan ka ziyan hona hi tha
saat-e-be-mehr meri zindagi ko Das gai
lamha-e-saffak ko mujh par ayan hona hi tha
waqt se pahle hawa ne kan mein kuchh kah diya
fasl-e-gul ke aate hi dil ka ziyan hona hi tha
jaanta hun naz phir bhi sabr ki taqat nahin
bagh-e-dil ko ek din nazr-e-KHizan hona hi tha
Ghazal
Hadisa aisa bhi zer-e-asman hona hi tha
Naz Quadri