guzri hui wo rut kabhi aani to hai nahin
dil ne magar ye baat bhi mani to hai nahin
ai qissa-go ye lahja tera yun kabhi na tha
kuchh to bata ye kya hai kahani to hai nahin
kuchh us ke muskurane se andaza ho to ho
andar ki choT hai nazar aani to hai nahin
phir us gali na jaane pe raazi hua to hai
ab ke bhi dil ne baat nibhani to hai nahin
wo baat ab kahan ki dilon ko kare ghulam
bas ek chamak hai aankh mein pani to hai nahin
duniya tere liye jo guzari guzar di
ab ye jo rah gai hai ganwani to hai nahin

Ghazal
Guzri hui wo rut kabhi aani to hai nahin
Khalid Mahmood Zaki