guzre wade ko wo KHud yaad dila dete hain
dil ki soi hui hasrat ko jaga dete hain
nau-giraftar-e-qafas hain nahin karte fariyaad
jaan ko teri ye sayyaad dua dete hain
talib-e-jalwa-e-didar samajh kar mujh ko
ek jhalak si ruKH-e-raushan ki dikha dete hain
zabh karte hain taDapne nahin dete mujh ko
tah-e-zanu meri gardan ko daba dete hain
apne mauqe pe har ek baat bhali hoti hai
shab-e-furqat mein ye sadme bhi maza dete hain
ghair ke kahne se dar-gor kaha karte hain
jite-ji wo mujhe paigham-e-qaza dete hain
main wo qaidi hun ki sone nahin dete mujh ko
aankh lagti hai to zanjir hila dete hain
le liya bosa-e-ruKHsar to kya jurm kiya
pyar ki baat pe nahaq wo saza dete hain
sham-e-mahfil hun na aashiq na main bu-e-gul hun
mah-jabin kyun mujhe aanchal ki hawa dete hain
un ke qabze mein hai kaunain ki shahi 'ashiq'
shah wo de nahin sakte jo gada dete hain
Ghazal
Guzre wade ko wo KHud yaad dila dete hain
Ashique Akbarabadi