guzre the husain ibn-e-ali raat idhar se
hum mein se magar koi bhi nikla nahin ghar se
is baat pe kis waste hairan hain aankhen
patjhaD hi mein hote hain juda patte shajar se
tu yun hi pasheman hai sabab tu nahin is ka
nind aati nahin hum ko kisi KHwab ke Dar se
sunte hain bahut nam kabhi dekhte hum bhi
ai mauj-e-bala tujh ko guzarte hue sar se
thakna hai Thaharna hai bahar-haal sabhi ko
ji apna bhi bhar jaega ek roz safar se
Ghazal
Guzre the husain ibn-e-ali raat idhar se
Shahryar