guzre talluqat ka ab wasta na de
gum ho chuki kitab jo us ka pata na de
ab tazkire na chheD mere ahad-e-shauq ke
jo bujh gai hai aag use phir hawa na de
kuchh is qadar fareb sahaaron se khae hain
main gir paDunga KHauf se tu aasra na de
jis ki jabin-e-shauq pe likkha tha mera nam
ab dur ja basa hai tu shayad bhula na de
shoala jo maujzan hai mohabbat ka dil mein aaj
Dar hai ki sarsar-e-gham-e-dauran bujha na de
go chal paDa hun dil se magar chahta hun ye
uTh kar mujhe wo rok le aur rasta na de
KHali na koi daulat-e-iKHlas se rahe
'alwi' kisi ko bhul ke ye bad-dua na de
Ghazal
Guzre talluqat ka ab wasta na de
Afzal Alvi