guzre nahin aur guzar gae hum
is bhiD ka kaam kar gae hum
ye sahn gawah hai hamara
is ghar mein bhi dar-ba-dar gae hum
daryaft ko zaKHm ki chale the
tariKH ki dhaar par gae hum
is baat pe ab ulajh rahe hain
baqi the to phir kidhar gae hum
taswir se bahar aae kuchh der
ghar bhar ko udas kar gae hum
warna ye zamin miT chali thi
bar-waqt idhar udhar gae hum
KHali the aur is qadar the KHali
bas ek nigah se bhar gae hum
the kaun-o-makan makan se bahar
bahar kisi shor par gae hum
Ghazal
Guzre nahin aur guzar gae hum
Shaheen Abbas