guzre lamhat ka ehsas hua jata hai
daman-e-waqt yunhi mujh se chhaTa jata hai
main ujale ko mohabbat ka KHuda likhta hun
wo andhere hi se manus hua jata hai
jis ki KHushbu se fazaon mein mahak thi shab-bhar
subh-dam us ki taraf sanp baDha jata hai
mujh ko Dar hai koi aabid na bahak jae kahin
dil-ruba chand ka andaz hua jata hai
dur rah kar bhi rag-e-jaan se lipaT jate hain
aur is dil mein ujala sa hua jata hai
is qadar zahr pilaya mujhe us ne 'alam'
talKHi-e-zist ka ehsas miTa jata hai
Ghazal
Guzre lamhat ka ehsas hua jata hai
Afroz Alam