guzre hue lamhat ko ab DhunD raha hun
main apne muqaddar mein ghazab DhunD raha hun
sajde ka sabab jaan ke shirin hai pareshan
farhad ne kah Dala ke rab DhunD raha hun
wo hain ki nibhane bhi lage wasl ke aadab
main hun ki taghaful ka sabab DhunD raha hun
zalim mujhe phir saikDon gham dene laga hai
main zindagi mein ek KHushi jab DhunD raha hun
kyun mujh ko suKHnawar kaho pagal na kaho tum
har bazm mein jo bazm-e-adab DhunD raha hun
aazurda thi ghurbat mein mere dost ki hijrat
kuchh main bhi pareshan hun arab DhunD raha hun
bas ek pata hi to mujhe yaad hai 'azhar'
diwana hai kya tujh ko main kab DhunD raha hun
Ghazal
Guzre hue lamhat ko ab DhunD raha hun
Azhar Hashmi