guzra hua zamana phir yaad aa raha hai
bhula hua fasana phir yaad aa raha hai
jo phul ban gaya hai honTon par us ke aa kar
wo harf-e-mahramana phir yaad aa raha hai
jis mein the chand tare mahbub the hamare
kyun wo nigar-KHana phir yaad aa raha hai
wo do dilon ko jis ne hamraaz kar diya tha
wo raaz-e-dil-barana phir yaad aa raha hai
jis ki bisat ulaT di ai 'soz' aasman ne
kyun wo sharab-KHana phir yaad aa raha hai

Ghazal
Guzra hua zamana phir yaad aa raha hai
Sardar Soz