guzra hai nagawar unhen be-kasi ka shor
kanon mein jin ke gunj raha hai KHushi ka shor
sunta nahin lahad mein mujhe KHamushi ka shor
tahtush-shuur mein hai abhi zindagi ka shor
mar mar ke main ne apne farize kiye ada
hai mere dam se aaj teri bartari ka shor
zanjir-e-pa se laj ghulami ki rah gai
har gam par uTha hai meri bandagi ka shor
hain qahqahe kisi ke kisi ki hain siskiyan
shamil raha KHushi mein kisi bebasi ka shor
mana har anjuman ka tarana hai dil-nawaz
'shamsi' hamein aziz hai apni gali ka shor
Ghazal
Guzra hai nagawar unhen be-kasi ka shor
Sajjad Shamsi