اردو हिंदी
Guzishtagan mein hamara shumar hone mein | Shaahi Shayari
guzishtagan mein hamara shumar hone mein

Ghazal

Guzishtagan mein hamara shumar hone mein

Kashif Husain Ghair

;

guzishtagan mein hamara shumar hone mein
ab aur waqt hai kitna ghubar hone mein

tu mera raaz bhi kaise chhupa gaya mujh se
tera jawab nahin raazdar hone mein

ye qaid-KHana bhi ek shab mein kitna phail gaya
ab aur der lagegi farar hone mein

yahan kisi ka koi gham-gusar kyun hoga
ki faeda hi nahin gham-gusar hone mein

hai ek umr ka hasil hamari bekari
ganwaen kyun ise masruf-e-kar hone mein

is ek ashk-e-nadamat pe naz kar ghaer
kahan ye baat ibaadat-guzar hone mein