اردو हिंदी
Guzishta raat koi chand ghar mein utra tha | Shaahi Shayari
guzishta raat koi chand ghar mein utra tha

Ghazal

Guzishta raat koi chand ghar mein utra tha

Ateeq Anzar

;

guzishta raat koi chand ghar mein utra tha
wo ek KHwab tha ya bas nazar ka dhoka tha

sitare os mere sath subh tak roe
magar wo shaKHs to patthar ka jaise tursha tha

bichhaDte waqt ana darmiyan thi warna
manana donon ne ek dusre ko chaha tha

qarib aa ke bhi KHwabon ki kho gain kirnen
ki mujh se aage mera bad-nasib saya tha

gila nahin hai jo us ne mujhe na pahchana
lahu-luhan meri zindagi ka chehra tha

nigal saka na shab-e-gham ka azhdaha mujh ko
ufuq pe waqt-e-sahar aaftab ubhra tha

hasin chand ke chehre pe paD gae dhabbe
ki mere dil ke andhere se ye bhi guzra tha