guzarte lamhon ke dil mein kya hai hamein pata hai
hawa ke aanchal pe kya likha hai hamein pata hai
sulag rahi hai kahan pe chingari nafraton ki
dhuan kahan se ye uTh raha hai hamein pata hai
safina kis tarah par utaren ye hum se puchho
samundaron ka mizaj kya hai hamein pata hai
kahan kahan hadse chhipe hain KHabar hai hum ko
kahan se manzil ka rasta hai hamein pata hai
jo umar bhar zulm se laDa sindbaad ban kar
use zamane ne kya diya hai hamein pata hai
jo de raha hai duhai masumiyat ki apni
wahi to sazish ka sarghana hai hamein pata hai
KHizan ne gulshan se jate jate 'KHumar'-sahab
saba ke kanon mein kya kaha hai hamein pata hai
Ghazal
Guzarte lamhon ke dil mein kya hai hamein pata hai
Suleman Khumar