اردو हिंदी
Guzarte din ke dukhon ka pata to deta tha | Shaahi Shayari
guzarte din ke dukhon ka pata to deta tha

Ghazal

Guzarte din ke dukhon ka pata to deta tha

Arman Najmi

;

guzarte din ke dukhon ka pata to deta tha
wo sham Dhalne se pahle sada to deta tha

hujum-e-kar mein pal bhar bhi ek bahane se
wo apne qurb ka jadu jaga to deta tha

sharik-e-rah tha wo ham-safar na tha phir bhi
qadam qadam pe mujhe hausla to deta tha

mujhi ko milti na thi fursat-e-pazirai
wo apne sach ka mujhe aaina to deta tha

wo chand aur kisi aasman ka tha lekin
ufuq ufuq ko mere jagmaga to deta tha

main us ki aanch mein tap kar na ho saka kundan
wo apne shola-e-jaan ki hawa to deta tha