guzarte dauDte lamhe hisab mein likhiye
haqiqaton ki tamanna bhi KHwab mein likhiye
aziyyaten hi na apni kitab mein likhiye
sukun ka pal bhi to sanson ke bab mein likhiye
har ek harf se jine ka fan numayan ho
kuchh is tarah ki ibarat nisab mein likhiye
har ek jumbish-e-lab aur dil ki har dhaDkan
sada yaqin bani inqalab mein likhiye
basiraton ki ziya par na harf aa jae
main aql-o-hosh abhi tak hijab mein likhiye
sawal ban ke ubharte hain dard ke suraj
sukun ka chand hi sab ke jawab mein likhiye
mili hain din ki adhuri masafaten shab ko
chamakte sham-o-sahar kis hisab mein likhiye
sulagte jism ka ehsas dard ke jugnu
andheri shab ke guzarte hisab mein likhiye
Ghazal
Guzarte dauDte lamhe hisab mein likhiye
Akmal Imaam