guzarne wali hawa ko bata diya gaya hai
ki KHushbuon ka jazira jala diya gaya hai
zamin ki aankh ka naqsha bana diya gaya hai
aur ek tir faza mein chala diya gaya hai
usi ke dam se tha raushan sipah-e-shab ka alam
wo chand jis ko zamin mein daba diya gaya hai
wo ek raaz! jo muddat se raaz tha hi nahin
us ek raaz se parda uTha diya gaya hai
tumhein pata nahin KHana-ba-dosh ummido?
naya ilaqa sar-e-jaan basa diya gaya hai
jahan hua tha basarat ka qatl-e-am 'nabil'
wahan ek aaina-KHana bana diya gaya hai
Ghazal
Guzarne wali hawa ko bata diya gaya hai
Aziz Nabeel