اردو हिंदी
Guzaran hain guzarte rahte hain | Shaahi Shayari
guzaran hain guzarte rahte hain

Ghazal

Guzaran hain guzarte rahte hain

Jaun Eliya

;

guzaran hain guzarte rahte hain
hum miyan jaan marte rahte hain

hae jaanan wo naf-pyala tera
dil mein bas ghunT utarte rahte hain

dil ka jalsa bikhar gaya to kya
sare jalse bikharte rahte hain

yani kya kuchh bhula diya hum ne
ab to hum KHud se Darte rahte hain

hum se kya kya KHuda mukarta hai
hum KHuda se mukarte rahte hain

hai ajab us ka haal-e-hijr ki hum
gahe gahe sanwarte rahte hain

dil ke sab zaKHm pesha-war hain miyan
aan ha aan bharte rahte hain