guzar raha hai wo lamha to yaad aaya hai
us ek pal se kabhi kitna KHauf khaya hai
usi nigah ne aankhon ko kar diya patthar
usi nigah mein sab kuchh nazar bhi aaya hai
ye tanz yun bhi hai ek imtihan mere liye
tere labon se koi aur muskuraya hai
bahe raqib ke aansu bhi mere galon par
ye saneha bhi mohabbat mein pesh aaya hai
ye koi aur hai teri taraf sarakta hua
andhera hote hi jo mujh mein aa samaya hai
hamare ishq se marub is qadar bhi na ho
ye KHun to ek adakar ne bahaya hai
yahan to ret hai patthar hain aur kuchh bhi nahin
wo kya dikhane mujhe itni dur laya hai
bahut se bojh hain dil par ye koi aisa nahin
ye dukh kisi ne hamare liye uThaya hai
Ghazal
Guzar raha hai wo lamha to yaad aaya hai
Shariq Kaifi