اردو हिंदी
Guzar na jae samaat ke sard-KHanon se | Shaahi Shayari
guzar na jae samaat ke sard-KHanon se

Ghazal

Guzar na jae samaat ke sard-KHanon se

Saeed Shariq

;

guzar na jae samaat ke sard-KHanon se
ye bazgasht jo chipki hui hai kanon se

khara nahin tha magar aisa raegan bhi na tha
wo sikka DhunD ke ab laun kin KHazanon se

ye chashm-e-abr ka pani ye naKHl-e-mehr ke pat
utar raha hai mera rizq aasmanon se

jo dar khule hain kabhi band kyun nahin hote
ye puchhta hi kahan hai koi makanon se

utar phenka badan se libas tak 'shaariq'
magar ye bojh ki haTta nahin hai shanon se