اردو हिंदी
Guzar jahan ke KHanjar-e-do-dam se khelta hua | Shaahi Shayari
guzar jahan ke KHanjar-e-do-dam se khelta hua

Ghazal

Guzar jahan ke KHanjar-e-do-dam se khelta hua

Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri

;

guzar jahan ke KHanjar-e-do-dam se khelta hua
KHushi se khelta hua alam se khelta hua

hawa-e-dair-o-kaba-o-haram se daur-daura
hawa-e-dair-o-kaba-o-haram se khelta hua

kisi ke gesuon ke pech-o-KHam ka ho ke rah gaya
kisi ke gesuon ke pech-o-KHam se khelta hua

nigah-e-mast mein jahan-bhar ki mastiyan liye
wo kaun aa raha hai jam-e-jam se khelta hua

tamam-umr khelte rahe qaza ki god mein hamin
ye kya mazaq kar gaya tu hum se khelta hua

bulandiyon ko pastiyon ko raundta chala gaya
hansi-KHushi tumhaare har qadam se khelta hua

abhi to rengta hua adam ko ja raha hun main
phir ulTe panw aaunga adam se khelta hua