اردو हिंदी
Guzar gaya wo zamana wo zaKHm bhar bhi gae | Shaahi Shayari
guzar gaya wo zamana wo zaKHm bhar bhi gae

Ghazal

Guzar gaya wo zamana wo zaKHm bhar bhi gae

Abbas Rizvi

;

guzar gaya wo zamana wo zaKHm bhar bhi gae
safar tamam hua aur ham-safar bhi gae

usi nazar ke liye be-qarar rahte the
usi nigah ki be-tabiyon se Dar bhi gae

hamari rah mein saya kahin nahin tha magar
kisi shajar ne pukara to hum Thahar bhi gae

ye sail-e-ashk hai barbaad kar ke chhoDega
ye ghar na paoge dariya agar utar bhi gae

sahar hui to ye uqda bhi taeron pe khula
ki aashiyan hi nahin ab ke baal-o-par bhi gae

bahut aziz thi ye zindagi magar hum log
kabhi kabhi to kisi aarzu mein mar bhi gae

shajar ke sath koi barg-e-zard bhi na raha
hawa chali to bahaaron ke nauhagar bhi gae