guzar gaya jo zamana ajib lagta hai
gai ruton ka fasana ajib lagta hai
tum apne sath hi le jao apni yaadon ko
ki chashm-e-nam ka chhupana ajib lagta hai
gila kiya na kabhi tum se bewafai ka
labon pe aah ka aana ajib lagta hai
na han na hun na koi silsila nigahon ka
ye KHamushi ka fasana ajib lagta hai
kabhi zamane ki har shai se pyar tha mujh ko
tere baghair zamana ajib lagta hai
har ek zaKHm mera phul ban gaya shayad
ki ab bahaar ka aana ajib lagta hai
kisi ke pyar ka shoala bujha diya tha 'nigar'
wo shoala phir se jalana ajib lagta hai
Ghazal
Guzar gaya jo zamana ajib lagta hai
Nigar Azeem