guzar gaya intizar had se ye wada-e-na-tamam kab tak
na marne degi mujhe sitamgar teri tamanna-e-KHam kab tak
ajal mera itna kaam kar de ki kaam mera tamam kar de
rahe koi zindagi ke hathon jahan mein ruswa-e-am kab tak
wo aae ya wade par na aae bala se qismat jo kuchh dikha de
magar hamein dekhna to ye hai ki aaj hoti hai sham kab tak
ye bahas o takrar chhoD de aa ye zohd ka ahd toD de
rahegi ai muddai-e-hurmat sharab-e-duniya haram kab tak
Ghazal
Guzar gaya intizar had se ye wada-e-na-tamam kab tak
Fani Badayuni