guzar gai jo chaman par wo koi kya jaane
jhaDe hue hain bahaar-o-KHizan ke afsane
jahan pe chaak-e-gareban bhi chaak-e-dil ban jae
guzar rahe hain ab un manzilon se diwane
mere labon ka tabassum to sab ne dekh liya
jo dil pe bit rahi hai wo koi kya jaane
tere huzur jinhen kah saki na goyai
mere sukut ne dohra diye wo afsane
nigah-e-ishq mein dair-o-haram ki qaid nahin
kahin bhi shama jale uD chalenge parwane
tamam wusat-e-kaunain ko Dubo denge
chhalak gae jo kahin us nazar ke paimane
na ishtiyaq-e-nazara na e'tibar-e-jamal
Thahar gai hai kahan zindagi KHuda jaane
na sham-e-bazm pe kuchh aanch aaegi 'iqbaal'
KHud apni aag mein jalte rahenge parwane
Ghazal
Guzar gai jo chaman par wo koi kya jaane
Iqbal Safi Puri