guzar gae hain jo din un ko yaad karna kya
ye zindagi ke liye roz roz marna kya
meri nazar mein gae mausamon ke rang bhi hain
jo aane wale hain un mausamon se Darna kya
bujhe hue dar-o-diwar ko bhi raunaq de
ye KHwab ban ke meri aankh se guzarna kya
misal-e-ashk sar-e-daman-e-hayat hun main
meri rawani hi kya aur mera Thaharna kya
hujum-e-jalwa se jis rah par charaghan tha
jo bujh gai hai to us rah se guzarna kya
misal-e-naqsh-e-qadam apni hairaton mein hun gum
wo ja chuka hai to phir intizar karna kya
guzar rahi hai ghanimat hai zindagi mana
magar ye ek hi andaz se guzarna kya
Ghazal
Guzar gae hain jo din un ko yaad karna kya
Mushfiq Khwaja