اردو हिंदी
Guzar chali hai shab-e-dil-figar aaKHiri bar | Shaahi Shayari
guzar chali hai shab-e-dil-figar aaKHiri bar

Ghazal

Guzar chali hai shab-e-dil-figar aaKHiri bar

Saud Usmani

;

guzar chali hai shab-e-dil-figar aaKHiri bar
bichhaDne wale hain yaron se yar aaKHiri bar

damak raha hai sahar ki jabin pe bosa-e-shab
thapak rahi hai saba ru-e-yar aaKHiri bar

zara si der ko hai pattiyon pe shisha-e-nam
guzar rahi hai kiran aar-par aaKHiri bar

ye baat KHemon ke jalte diye bhi jaante the
ki hum ko bujhna hai tartib-war aaKHiri bar

kisi alaw ka shoala bhaDak ke bolta hai
safar kaThin hai magar ek bar aaKHiri bar

sumon se uDti hui reg-e-dasht DhunDhti hai
ghubar hote hue shahsawar aaKHiri bar