guzar auqat nahin ho pati
din se ab raat nahin ho pati
sari duniya mein bas ek tum se hi
ab mulaqat nahin ho pati
jo dhaDakti hai mere dil mein kahin
ab wahi baat nahin ho pati
jama karta hun sar-e-chashm bahut
phir bhi barsat nahin ho pati
lakh mazmun lab-e-izhaar pe hain
aur munajat nahin ho pati
hath mein hath liye phirti hai
KHatm ye raat nahin ho pati
Ghazal
Guzar auqat nahin ho pati
Ayub Khawar

