اردو हिंदी
Guzare tumne kaise roz-o-shab humse KHafa ho kar | Shaahi Shayari
guzare tumne kaise roz-o-shab humse KHafa ho kar

Ghazal

Guzare tumne kaise roz-o-shab humse KHafa ho kar

Raj Kumar Soori Nadeem

;

guzare tum ne kaise roz-o-shab hum se KHafa ho kar
na hum ko ras aai zindagi tum se juda ho kar

faqat ahl-e-junun waqif hain is raaz-e-haqiqat se
hayat-e-jawidan milti hai ulfat mein fana ho kar

kahan un ke dilon mein wo KHalish soz-e-mohabbat ki
tere tir-e-nazar se jo rahe na-ashna ho kar

tumhaari bewafai ka fasana har zaban par hai
zamane ko dikha do intiqaman ba-wafa ho kar

fazaen mahak uTThi hain teri zulfon ki KHushbu se
tere kuche se jab bhi aai hai baad-e-saba ho kar

kisi ki bu-e-pairahan gulistan se guzarti hai
shamim-e-jaan-fiza ban kar kabhi baad-e-saba ho kar

'nadim' is daur mein har gam par tan-o-malamat hain
bahut dushwar hai duniya mein jina ba-wafa ho kar