gunjta hai nala-e-mahtab aadhi raat ko
TuT jate hain suhane KHwab aadhi raat ko
bhagte sayon ki chiKHen TuTte taron ka shor
main hun aur ek mahshar-e-be-KHwab aadhi raat ko
sham hi se bazm-e-anjum nashsha-e-ghaflat mein thi
chand ne bhi pi liya zahrab aadhi raat ko
ek shikasta KHwab ki kaDiyan milane aae hain
der se bichhDe hue ahbab aadhi raat ko
daulat-e-ehsas-e-gham ki itni arzani hui
nind si shai ho gai nayab aadhi raat ko
Ghazal
Gunjta hai nala-e-mahtab aadhi raat ko
Shakeb Jalali