اردو हिंदी
Gumun nahin to kya main kahin ja ke paD rahun | Shaahi Shayari
gumun nahin to kya main kahin ja ke paD rahun

Ghazal

Gumun nahin to kya main kahin ja ke paD rahun

M Kothiyavi Rahi

;

gumun nahin to kya main kahin ja ke paD rahun
bimar aadmi ki tarah raat kaT dun

dekhega aaj meri taraf kaun pyar se
bujhta hua charagh hun patjhaD ka chand hun

taswir ban ke dekh raha hun jahan ko
tu hi bata ki aur main ab kaise chup rahun

shirin hai zahr maut ka ai talKHi-e-hayat
ji chahta hai aaj tera jam toD dun

is bare mein to aap se behtar hun main zarur
pina bhi paD gaya to piya hai KHud apna KHun

KHat likh ke phaD dena mere mashghalon mein hai
paDhti rahi hai aag mera nama-e-zubun

gir jaegi ye chhat jo chali jhum kar hawa
'rahi' meri hayat hai ek qasr-e-be-sutun