اردو हिंदी
Ghurur-o-naz-o-takabbur ke din to kab ke gae | Shaahi Shayari
ghurur-o-naz-o-takabbur ke din to kab ke gae

Ghazal

Ghurur-o-naz-o-takabbur ke din to kab ke gae

Zaheer Ahmad Zaheer

;

ghurur-o-naz-o-takabbur ke din to kab ke gae
zahir ab wo zamane hasab-nasab ke gae

bahut ghurur gulistan mein tha gulabon ko
tumhein jo dekha to hosh-o-hawas sab ke gae

macha hai shor KHizan ka hai ruKH usi jaanib
agar ye sach hai to samjho ki hum bhi ab ke gae

KHulus se na sahi rasm hi nibhane ko
tum aa gae ho to shikwe tamam lab ke gae

wo chandni wo tabassum wo pyar ki baaten
hui sahar to wo manzar tamam shab ke gae

kabhi to halqa-e-zanjir-e-yas bhi TuTe
kabhi to lauT ke aaen wo lamhe jab ke gae