ghurur-e-zabt se aah-o-fughan tak baat aa pahunchi
hawas ne kya kiya dil se zaban tak baat aa pahunchi
sukun-e-dil se naqus o azan tak baat aa pahunchi
KHuda walon ki himmat se kahan tak baat aa pahunchi
KHilafat se jabin o aastan tak baat aa pahunchi
KHuda aur ibn-e-adam mein yahan tak baat aa pahunchi
mili thi aankh aur aah-o-fughan tak baat aa pahunchi
zara si baat thi lekin yahan tak baat aa pahunchi
hamari dastan mein zikr-e-qais-o-kohkan aaya
wahan se phir hamari dastan tak baat aa pahunchi
Ghazal
Ghurur-e-zabt se aah-o-fughan tak baat aa pahunchi
Hari Chand Akhtar