ghurur-e-ulfat ki tarz-e-nazish ajab karishme dikha rahi hai
hamari ruThi hui nazar ko teri tajalli mana rahi hai
wo tur wali teri tajalli ghazab ki garmi dikha rahi hai
wahan to patthar jala diye the yahan kaleja jala rahi hai
mere nasheman mein shan-e-qudrat ke sare asbab hain muhayya
hawa safai pe hai muqarrar charagh bijli jala rahi hai
na us ke daman se main hi uljha na mere daman se ye hi aTki
hawa se mera bigaD kya hai jo sham-e-turbat bujha rahi hai
farishte aae agar lahad mein to saf kah dunga rasta lo
jab us ki chahat mein jaan de di to baat kahne ko kya rahi hai
jamal-e-qudrat mujhi ko de de ki main kaleje ki choT sekun
kalim ke ghar mein rakkhe rakkhe wo aag ab kya bana rahi hai
Ghazal
Ghurur-e-ulfat ki tarz-e-nazish ajab karishme dikha rahi hai
Muztar Khairabadi