ghurur-e-pas-e-riwayat badal ke rakh dunga
main raftagan ki shariat badal ke rakh dunga
gada-e-ilm hun nikla to phir qarine se
tumhaara tarz-e-tariqat badal ke rakh dunga
salah-e-dost sharafat se man le warna
main ye libas-e-sharafat badal ke rakh dunga
jo ahd-e-rafta se jaunga raftagan ki taraf
to phir sukun se wahshat badal ke rakh dunga
main is zamin se jis roz uTh gaya 'aKHtar'
to aasman ki haalat badal ke rakh dunga
Ghazal
Ghurur-e-pas-e-riwayat badal ke rakh dunga
Akhtar Raza Adeel