ghurur-e-naz dikha tujh mein kitna jauhar hai
mera KHulus bhi dariya nahin samundar hai
parakh yahi hai mohabbat ki aanch do us ko
pighal gaya to wo shisha hai warna patthar hai
KHala-naward ko yaro faraaz-e-manzil kya
ki ab to us ka har ek par bajae shahpar hai
adawaton ko fana kar diya mohabbat se
mujahide mein mohabbat hi apna KHanjar hai
subut-e-baiat-e-pir-e-haram ye hai to sahi
ki aaj tak kaf-e-dast-rasa munawwar hai
mujhe zarurat-e-ghaza nahin ki chehre par
mere zamir ka jo rang hai ujagar hai
sitara-e-sahar-asar hai jo ai 'ghausi'
ghubar-basta abhi us ka pesh-manzar hai
Ghazal
Ghurur-e-naz dikha tujh mein kitna jauhar hai
Ghaus Mohammad Ghausi