ghurur-e-jaan ko mere yar bech dete hain
qaba ki hirs mein dastar bech dete hain
ye log kya hain ki do-chaar KHwahishon ke liye
tamam umr ka pindar bech dete hain
junun-e-zinat-e-araish-e-makan ke liye
kai makin dar-o-diwar bech dete hain
zara bhi nirKH ho baala to tajiran-e-haram
galim o jubba o dastar bech dete hain
bas itna farq hai yusuf mein aur mujh mein 'faraaz'
ki us ko ghair mujhe yar bech dete hain
Ghazal
Ghurur-e-jaan ko mere yar bech dete hain
Ahmad Faraz