اردو हिंदी
Ghurub-e-sham hi se KHud ko yun mahsus karta hun | Shaahi Shayari
ghurub-e-sham hi se KHud ko yun mahsus karta hun

Ghazal

Ghurub-e-sham hi se KHud ko yun mahsus karta hun

Zubair Rizvi

;

ghurub-e-sham hi se KHud ko yun mahsus karta hun
ki jaise ek diya hun aur hawa ki zad pe rakkha hun

chamakti dhup tum apne hi daman mein na bhar lena
main sari raat peDon ki tarah barish mein bhiga hun

ye kis aawaz ka bosa mere honTon pe kanpa hai
main pichhli sab sadaon ki halawat bhul baiTha hun

bichhaD ke tum se main ne bhi koi sathi nahin DhunDa
hujum-e-rahguzar mein dur tak dekho akela hun

koi TuTa hua rishta na daman se ulajh jae
tumhaare sath pahli bar bazaron mein nikla hun

main gir ke TuT jaun ya koi mehrab mil jae
na jaane kab se hathon mein khilauna ban ke jita hun