gurezan rang-o-bu se dil nahin hai
abhi shayad junun kaamil nahin hai
nigahen apne markaz par hain lekin
jahan dil tha wahan ab dil nahin hai
sarishk gham mein naghme ho chuke zam
magar KHamosh saz-e-dil nahin hai
abhi baqi hai imkan-e-talatum
abhi kashti lab-e-sahil nahin hai
phir us se arz-e-gham 'muKHtar' kya ho
jo mere haal se ghafil nahin hai
Ghazal
Gurezan rang-o-bu se dil nahin hai
Mukhtar Hashmi