gurez-pa hai naya rasta kidhar jaen
chalo ki lauT ke hum apne apne ghar jaen
na mauj-e-tund hai kuchh aisi jis se khelen hum
chaDhe hue hain jo dariya kaho utar jaen
ajab qarine ke majnun hain hum ki rahte hain chup
na KHak-e-dasht uDaen na apne ghar jaen
jabin hai KHak se aisi lagi ki uThti nahin
junun-e-sajda agar ho chuka to mar jaen
zamana tujh se ye kahna hai mar chuke hum log
ab apni lash tere bazuon mein dhar jaen
hamin bache hain yahan aaKHiruz-zaman lekin
sabhon ko apna taaruf den dar-ba-dar jaen
Ghazal
Gurez-pa hai naya rasta kidhar jaen
Jamal Owaisi