gur but-e-kam-sin dam bichhae
bulbulen kya hain hathi phansae
un se nigahen kaun milae
tewari chaDhi hai munh hain phulae
masnad-e-zar pe baiTha hai waiz
khinsen nikale chandiya ghaTae
us se wo milte rahte hain aksar
roz unhen jo chae pilae
mahw-e-KHiram-e-naz hai koi
zulfon mein kaDwa tel lagae
raat ko aksar shaiKH-e-haram bhi
mai-kade pahunche munh ko chhupae
gardish-e-qismat gardish-e-dauran
jis ko chahe KHub nachae
jis ko bhi chahe dost nawaze
jis ko na chahe Thenga dikhae
leta hai dast-e-naz ke bose
hum se achchha life-boy
rok nigah-e-hirs ko mali
tere chaman ko charne na pae
Ghazal
Gur but-e-kam-sin dam bichhae
Shauq Bahraichi