gungunati si koi raat bhi aa jati hai
aap aate hain to barsat bhi aa jati hai
hum ko har-chand gawara nahin aansu lekin
apni jholi mein ye KHairaat bhi aa jati hai
aarzuon ke janaze hi nahin palkon par
bijliyon ki kabhi baraat bhi aa jati hai
gardish-e-jam se haT kar bhi teri aankhon se
wajd mein gardish-e-haalat bhi aa jati hai
wo fasane jo mere nam se mansub hue
un fasanon mein teri baat bhi aa jati hai
Ghazal
Gungunati si koi raat bhi aa jati hai
Qateel Shifai