gungunati hui aawaz kahan se laun
teri aawaz ka andaz kahan se laun
tere altaf se raqsan hain labon par KHushiyan
gham mein Dubi hui aawaz kahan se laun
haal-e-dil phul se chehron ko sunane ke liye
main lab-e-zamzama-parwaz kahan se laun
mujh se hans hans ke teri mashq-e-sitam hoti hai
tujh sa monis but-e-tannaz kahan se laun
shomi-e-baKHt hai ye 'charKH' ki wo kahte hain
main masihai ka andaz kahan se laun
Ghazal
Gungunati hui aawaz kahan se laun
Charkh Chinioti