ghunche se muskura ke use zar kar chale
nargis ko aankh mar ke bimar kar chale
phirte ho bagh se to pukare hai andalib
subh-e-bahaar-e-gul pe shab-e-tar kar chale
uThte hue jo dair se li madrase ki rah
tasbih shaiKH-e-shahr ki zunnar kar chale
aae jo bazm mein to uTha chehre se naqab
parwane hi ko shama se bezar kar chale
aazad karte tum hamein qaid-e-hayat se
is ke ewaz jo dil ko giraftar kar chale
uTh kar hamare pas se ghar tak raqib ke
pahunchega wo koi jo hamein mar kar chale
lo KHush raho ghar apne mein jis shakl se ho tum
do chaar nale hum pas-e-diwar kar chale
andoh-o-dard-o-gham ne kiya azm jab idhar
hum ko adam se qafila-salar kar chale
'sauda' ne apne KHun ki diyat tum se yak-nigah
chahi to itni baat se inkar kar chale
pyare KHuda ke waste Tuk apne dil ke bich
insaf to karo ye kise mar kar chale

Ghazal
Ghunche se muskura ke use zar kar chale
Sauda Mohammad Rafi