ghunche ne taj gul ne kiya pairahan durust
shadi bahaar ki hai hua hai chaman durust
paigham-e-rustaKHez hai aamad bahaar ki
mar kar hui hai nargis-e-bimar tandurust
rakkha dahan-e-tang ne matlab ko na-tamam
nikla tumhaare munh se na koi suKHan durust
gul jalwa-gar hain aamad-e-fasl-e-bahaar hai
kar baghban nasheb-o-faraaz-e-chaman durust
paiwand-e-mehr-o-mah lagata hai roz-o-shab
karta hai charKH-e-pir rida-e-kuhan durust
dast-e-junun ne qaid-e-talluq se di najat
pahuncha na ek ta-ba-gulu pairahan durust
karti hai jama baad-e-saba KHak muntashir
hota hai phir nishan-e-mazar-e-kuhan durust
hoti hain josh-e-ishq mein jo jo shikayaten
kahta hai naz se wo but-e-sim-tan durust
farhad ne fareb-e-mohabbat mein jaan di
samjha ki hai muamala-e-pir-zan durust
saqi bhala ho KHair subu koi jam de
rakkhe KHuda hamesha teri anjuman durust
nahaq KHarash zaKHm ki deta hai zinaten
karta hai shana zulf-e-but-e-sim-tan durust
kis rashk-e-gul ki shohrat-e-nazzargi hai aaj
karte hain ghuncha-ha-e-chaman pairahan durust
zang-e-dui se aaina-e-dil hai pak-o-saf
rahta hai apna gosha-e-bait-ul-huzan durust
be-faeda hain chaaragaron ki mashaqqaten
hote nahin hain ishq ke bimar-tan durust
chaTa hai ek umr luab-e-zaban-e-tegh
zaKHmon ke muddaton mein hue hain dahan durust
badlun radif aur ki ji bhar gaya 'nasim'
ho aur tarah zulf-e-urus-e-suKHan durust
Ghazal
Ghunche ne taj gul ne kiya pairahan durust
Naseem Dehlvi