ghunche ko hai tere dahan ki hirs
seb ko hai tere zaqan ki hirs
ye nazakat kahan ye lutf kahan
hai saman ko jo us badan ki hirs
teri raftar wo kahan pae
dekhi bas aahu-e-KHutan ki hirs
gul se ai andalib kah dena
na kare mere gul-badan ki hirs
hai qafas mein bhi chain bulbul ko
hai tabii magar chaman ki hirs
'ajiz' aisi mili hai KHush-goi
karte hain sab mere suKHan ki hirs
Ghazal
Ghunche ko hai tere dahan ki hirs
Peer Sher Mohammad Ajiz