ghuncha jo sar-e-shaKH chaTakte hue dekha
pahlu mein bahut dil ko dhaDakte hue dekha
mehndi-rache hathon ne uThaya hi tha ghunghaT
ek shola-e-jawwala lapakte hue dekha
wo tere bichhaDne ka saman yaad jab aaya
bite hue lamhon ko sisakte hue dekha
bhula nahin ehsas tere lams ki KHushbu
tanhai mein anfas mahakte hue dekha
khinche hue ab tir kaman mein hai wo baalak
aaghosh mein jis ko na humakte hue dekha
jab jab bhi charaghon ki lawen hum ne baDhain
kya kya na hawaon ko sanakte hue dekha
Ghazal
Ghuncha jo sar-e-shaKH chaTakte hue dekha
Ishrat Qadri