ghuncha ghuncha mausam-e-rang-e-ada mein qaid tha
dil wo nadan tha ki apni hi ana mein qaid tha
aankh ki momi gali pyasi thi pyasi hi rahi
shabnami baadal zamane ki hawa mein qaid tha
be-ruKHi ki ghar ki diwaron pe thi chuna-kali
zarra zarra ajnabiyyat ki faza mein qaid tha
aasman ke taq par sajte rahe ek ek charagh
main zamin ka chand apne hi KHala mein qaid tha
raat ke ifrit ne shab-KHun mara be-tarah
karwan-e-subh zanjir-e-dua mein qaid tha
kaun tha wo jis ne apne KHun se likkha tha KHat
kis ke dil ka rang is barg-e-hina mein qaid tha
aankh ke aangan se KHwabon ka parinda uD gaya
raat bhar 'shahin' yaadon ki chita mein qaid tha
Ghazal
Ghuncha ghuncha mausam-e-rang-e-ada mein qaid tha
Shaheen Badr