ghuncha-e-dil mera kha kar gul-e-KHandan mera
bu-e-gul sa hai uData mujhe jaanan mera
apni garmi se barishta hua husn-e-ruKH-e-yar
lala-rang aatish-e-gul se hai gulistan mera
kabhu guzra tha koi aabla-pa dekh wafa
rowe ab lag hai lahu KHar-e-bayaban mera
ishq KHurshid-ruKHon se jo kiya main ne junun
dagh jun subh hua chaak-e-gareban mera
kimiya husn ki hai munh to zara us ko laga
jam-e-mai se bhi gaya kya dil-e-giryan mera
chor kar dil ko inayat kiya sangin dushnam
shishe ko toD ke patthar diya tawan mera
qatl-e-'uzlat' se na munkir ho ki gul ke manind
lab pe hansta hai tere KHun-e-numayan mera
Ghazal
Ghuncha-e-dil mera kha kar gul-e-KHandan mera
Wali Uzlat